05/12/2008

ek naya rishta...

tumhen dekha,
tumse mila,
kuch baat ki,
to bana,
pahchan ka rishta,

ek raat ki mulakat,
uske baad hum,
apne apne raste,
chale gae the,
kahin gum gaya rishta,

phir maine,
purani kitaab se,
sookhe phoolon ki tarah,
tumhan talash kiya,
ye tha,
mera aur deewangi ka rishta,

ab jo chal raha hai,
jane kab tak chalega,
chalega bhi ya nahin,
par main hamesha,
nibhana chahta hun,
ye benaam sa rishta...


By: Ravi
date & time: 4-12-08/ 3.00 AM

No comments: