10/04/2009

मुझसे तू आसनां हो जा...

अजनबी मुझसे तू आसनां हो जा,
मेरी राहों का रहनुमां हो जा।

ये मुलाकात भी हो सकती है,
तू किसी रोज परेशां हो जा।

जिंदगी में बहार आ जाए,
तू महकता सा गुलिस्तां हो जा।

मुझे जन्नत नसीब हो जाए,
जिंदगी का तू खातिमा हो जा।

साथ चलना तो उम्र भर के लिए,
या अभी से तू बेवफा हो जा।

31/01/2009

yaad kar lena...

yaad aaye meri, to mujhe yaad kar lena,
zindagi rahte, ya uske baad kar lena.

chup rahogi, to log kya-kya sochenge,
baat nikle, to meri baat kar lena.

tumhen yakeen ho khuda pe, mujhe yakeen nahin,
mere liye bhi koi muraad kar lena.

zamaane bhar ki burai mujhe nazar karke,
tum apna daaman pak-saaf kar lena.

na mila husn ka saya to koi baat nahin,
tum 'ravi' maut ko jaan-e-hayaat kar lena...

By: Ravi.

30/01/2009

Akhiri galti…

Har baar main,
Galtiyon ko dohrata hun,
Har baar galtiyon ka,
Ek hi natiza…

Galti karta hun,
Kisi se ummid se bhi jyada,
ummid karne ki,
or akhir main toot jata hai,
ummidon ka hausla.

Galti karta hun,
Doosron ko aajmane ki,
Or phir wahi haal,
Is aajmaish ke khel main,
Bikhar jate hai rishte.

Galti karta hun,
Kanton bhari raah chalke,
Manzil ko talashne ki,
Or manzil to milti nahin,
Raah par khoon ki,
Ek or part chad jati hai.

Ab ek baar or,
Galti karne ki tamanna hai,
Shayad Akhiri galti,
Wo galti mita degi,
Sabhi galtiyon ke nishan…

By: Ravi

21/01/2009

khushi ke aansu...

sirf gam hi nahin,
aankhon se khushiyan bhi
bah nilalti hain,

tumne dekha hai kabhi,
aansuon main chupi khushiyon ko,

nahin dekha,
to kabhi dil kholkar hanso,
khushi ke aansu khud-ba-khud,
aankhon main bhar jaenge,

dekhna us din,
tumhare gam chote pad jaenge...

by: Ravi.

10/01/2009

Raasta to samajh aaye…

Us ZIDDI shakhs ki zid to samajh aaye,
hai uske dil main kya, kuch to samajh aaye.


Hamne to aaj tak dosti ko pyaar se dekha,
Kya hai dosti or pyaar kya ye to samajh aaye.


Na jaane kon si uljhan main uljha hai wo,
Uski mushkil khud usko to samajh aaye.


Main uske dil ki baaten jaan lun lekin,
Dil tak pahunchne ka sira to samajh aaye.


Manzil samne hai, lekin dhundh hai,
Chhate ye dhundh raasta to samajh aaye…

By: Ravi R.
10/01/09

05/01/2009

Hazaron shaks milte hai,
Magar wo ek hota hai,
Jise nazren ye chunti hain,
Jise dil apna kahta hai.


Khushi ho uske kadmon main,
Sare gum uske hamare hon,
Rahe hardum salamat wo,
Dil yahi fariyad karta hai.


Use koi nahin dekhe
Rukh pe har waqt parda ho,
Chaand jaisa hai wo chehra,
Jo mere dil main rahta hai.

meri deewangi....

Na jane ye kaisi deewangi hai,
Khuda ko bhi jis par hairangi hai.

Vaise to dunia main lakhon hasin hain,
Par tere chehra pe nazren thami hain.

Koi mujhse puche kya hai qayamat,
Bata dun sabko teri sadgi hai.

Jane kyun ab tak samajh na saka,
Mohabbat hai usko ya dosti hai.

Unki khoobsurti ka aalam ye hai,
Dil main ajab si aashuftgi hai.


- Ravi R.