12/12/2008

achchi aadat...

main sochta hun,
tab kya hoga,
jab tum,
meri aadat ban jaoge,
jaagte, sote,
khwabon, khayaalon main,
bas tum hi rahoge,
tab shayad,
sab deewana kahenge mujhe,
or main,
tumhre khayaalon main gum,
sirf muskura diya karunga...

by: Ravi...

jalan hoti hai...

hamen neend nahin aati,
makhmali, narm or,
mahenge bistar par,
main jalta hun unse,
jo futpath par,
bina bistar ke,
bina takia ke,
or har cheez se mohtaz,
chain se sote hain,

kya,
unki neend ki wajah,
jee tod mehnat hai?

shyad nahin,
darasal,
unhen khone ka dar nahin,
kal ki chinta,
aaj ki parwaah nahin,
hamare paas khone ko,
bahut kuch hai,
isi dar main hamne,
khushi, chain or,
sukun kho diya hai,
aisa pana bhi,
kis kaam ka...!

by: Ravi.

06/12/2008

khushi kareeb hai

khushi har baar,
darwaje tak aakar,
dabe paon laut gai,
magar is baar,
nahin jane dunga is tarah,
bandh lunga khushi ko,
kisi mazboot rishtey se,
ek aisa rishta,
jo zindagi ke saath,
or zindagi ke baad,
har janam main bana rahe,
band kar lunga,
main apne dil ke darwaje,
phir dekhta hun,
kaise lautti hai khushi,
is baar use,
ghar main nahin,
dil main jagah dunga,
bas, ek baar aaye to sahi...

date/time: 6-11-08/ 6.30 PM

zindagi ki kitaab

aadmi ko kitaab ki shakl mil jae,
to har kisi ka raaz khul jae.

hawa ki tarah koi ulat ke panne,
aur kahin sukha gulab mil jae.

koi rukkar har shabd gour se padhe,
koi ek nazar dalkar nikal jae.

yun to kimat nahin kisi ki koi,
isi bahane koi kharidaar mil jae.

date/time: 5-11-08/ 1.43 AM

05/12/2008

ek naya rishta...

tumhen dekha,
tumse mila,
kuch baat ki,
to bana,
pahchan ka rishta,

ek raat ki mulakat,
uske baad hum,
apne apne raste,
chale gae the,
kahin gum gaya rishta,

phir maine,
purani kitaab se,
sookhe phoolon ki tarah,
tumhan talash kiya,
ye tha,
mera aur deewangi ka rishta,

ab jo chal raha hai,
jane kab tak chalega,
chalega bhi ya nahin,
par main hamesha,
nibhana chahta hun,
ye benaam sa rishta...


By: Ravi
date & time: 4-12-08/ 3.00 AM

03/12/2008

dahshatgard mehmaan

ek hamla,
phir intzaar,
agle hamle ka,
jaise,
hamla na ho,
koi mehmaan ho,
hum tahe-dil se,
istakbaal karte hai,
mehmaanon ka,
unhen ghar main jagah dete hain,
khilate hain,
pilate hain,
chale jane par,
hum chillate hain,
bahut nuksaan kar gae,
ye khatirdaari kab tak,
kyon band nahin karte,
hum khidkiyan, darwaaze,
aur,
door se kah den,
ki, dobara mat aana,
hamaare yahan rashan nahin hai,
itna bekar khoon bhi nahin,
jo bar bar bahe,
ab aana, to,
keemat chukakar jana...

by- Ravi
writing time: 3.00 AM

Vaade-iraade

kuch vaade maine khud se kiye hain,
marne se pahle jo nibhana hai.

abhi to safar par nikla hun,
abhi manzil ke paar jana hai.

vaada kiya hai kuch kar dikhane ka,
dunia main apni pahchan banana hai.

jahan dharti aasman se milti hai,
mujhe us jagah tak jana hai.

ab tak kisi ko chaha nahin hai,
kisi ki chahat dil main basana hai.

is shahar main ek ummid saath laya hun,
ab mehnat aur kismat aazmana hai...

by- Ravi
writing time: 1.57 AM

khwaab...

kal raat,
ek khwaab dekha tha,
khwaab main tum thi,
bahut khamosh thi tum,
lekin,
jab achanak maine,
tumse kuch pucha tha,
to, tum jhenp gai thi,
ye to mera jawaab nahin tha!

tumne taal diya tha,
kal pe,
aur chali gai thi,
aaj raat,
sawaal aur bhi hain,
lekin,
aankhon main neend nahin,
aaj jawaab kaise dogi,
tum to kwaabon main hi milti ho...

by Ravi
writing time: 2.11 AM